ROMANTIC SHAYARI with lots of romance, love and deep feelings for expressing true love. Shayari that is extremely romantic specially made for Indians. Quotes which are romantic are listed below, feel free to share them on facebook, whatsapp or any social media .
Dosti maano to do alfaaz
Nibhao to umra bhar ka saath
Aur agar dil me jagah de do
Puri jindagi haatho me haath
Muje yaad hai e dost jab tune mera haath thama tha
Ladkhadti kadmo ko pahchana tha
Kiya tha waada saath chalne ka
Aur mere kadam se kadam mila kar mujhe jaana tha
Likhe khat hajaaro mahboob ko likhna na koi kaam aaya ..
Ek khat likha jo maine yaar ko
Udta huwa uska paigaam aaya
Ishq ne aaj phir ki ruswaai aur yaar hi yaar ke kaam aaya
Jabse mile ho tum hume kisi ka intzaar nhi rahta
E dost tum na milo to hume to hume kisi par aitbaar nhi rahta
Log kahte hai duriya rishto ko tod deti hai
Duri aa jaaye to dosti me bhi pyaar nhi rahta
Wo bachpan ki galiya wo maati sa khwab
Wo nahro ki atkheliya wo jhande ka inqlaab
Sb kuch yaad hai muje ,tera wo muskurana
Pehle pal pal ruthna phir pighal jaana
sbkuch yaad hai mujhe, sab kuch yaad hai mujhe
Mohbbat aur dosti me jyaada fark nhi hota
Kabhi dost mohbbt to kabhi mohbbat dosti ban jaati hai
Subah uthu to naam tera
Shaam dhale to paigaam tera
Aur kitna tujhe yaad kare e dost
Har mahfil me dosti ka jaam tera
Teri meri dosti me alag hi andaaz hai
Teri meri dosti har kisi ka khwaab hai
Chahe ruthe to ruth jaaye ye jamana saara
Mujhe kal bhi tujhpe naaz tha aur aaj bhi tujhpe aaj bhi naaz hai
Main wo nhi jo tum mujhe bhulaoge
Rowoge aur saath chalne ka waada nibhaoge
Khusbu bankar tumhri jindagi me bikhar jaunga
Jab bhi tum mujhe ajmaoge
Matlabi hai duniya aitbaar kiska kiska hai
Main humesha hu tere saath bata inkaar kiska kiska hai
Tujhe chod dega saara jamana to bhi saath chalunga main
Bata ye dosti me iqraar kiska kiska hai
Phul bankar meri jindagi me aaya koi
Gumnaam jindagi me rang laaya koi
Kaise kah du mohbbt jawa hoti hai
Jab dosti me hi pyaar ka rang laaya koi
Tum kalam ho meri jindagi ka
Dosti ka kitaab hum likhenge
Na bichdenge hum kabhi juda hokar
Aur tere farz ke saara hisaab hum likhenge
Aksar mohbbt me judai hoti hai
Roti hai ankhe aur ruswai hoti hai
Kabhi aakar karke dekho dosti humse
Jaan jaoge dosti me kitni sachai hoti hai
Ashma humse naaraz hai ,uske pas hai taare
yaha chand be hisaab hai
Wo tadapta hai andhere me
aur Suraj jaisa dost mere pas hai
Guldasta ho meri jindagi ka tum tut na jaana
Puri duniya ruthe mujhse par tum ruth na jaana
Badi bheed hai is jindagi me
Hath pakad kar chalna tum
Kahi daaman chudakar piche chut na jaana
Maine hawao se kaha kya ek paigaam le jaoge
Mera dost hai masgul kya use meri yaade dilaoge
Hawao ne kaha ye basanti bayaar hai
Batayenge hum use ye tere dosti ka pyaar hai …
Wo taraju kaha jo humari yaari ko taule
Wo ankhe kaha jo ek duje ke liye khud ko bhigole
Hum to wo hai jo tere dard ko chura le
Aur bin kahe teri ankho se ro le
Meri har wafa ka silsila tujhe yaad rahega
Chahe rahe tu dilli ya ahmedabad rahega
Duriyo se kam nhi hogi yaari apni
Ye dil teri yaado se aabad rahega
Yaar aisa ho jo misaal ban jaaye
Lahu bankar dosti me dhaal ban jaaye
Kabhi kahe na alwida wo jajbaat se
Aur har dosti kamaal ban jaaye
Har subah ke baad ek shaam hogi
Meri har khuda teri naam hogi
Uthengi palke duwo me
Aur jindagi teri yaari pe nilaam hogi
Wo aam ka bagicha wo pipal ki daali
Wo rango ki holi wo phuljhadiyo ki deewali
Kitna kuch tha tere mere darmiya
Ab to jindagi ban gai hai ek dum khali
Har taraf hai bekhyali aur bekhyali..
.
E dost hum aisa kaam karenge
Saare jaha me tera naam karenge
Ye jamana kya nibhayega dosti
Hum karenge wafa tujhse
Aur tujh par jaan karban karenge
Apki yaari me hume ek ghar chahiye
Hum akele hai is jaha me apki nazar chahiye
Ye do din ki gujarish nhi hai
Apki dosti hume umar bhar chahiye
Saanso ko sanso ka sahara nhi milta
Jo khoya tha bheed me wo dost humara nhi milta
Mil jaati hai saare jaha ki daulat
Par tum jaisa ab dost pyaara nhi milta
Frndship a word which is easy to pronounce
Difficult to to follow
And wonder to support till death of life…
Kisi ne humse humari pahchanan puchi
Humne tera naam likh diya
Kisi ne pucha humse raahat ki wajah
Humne tera pahchaan likh diya
Dosti maano to yaari
Na maano to gaddari
Aur agar de do saaath umra bhar ka
To isse badi koi cheez nhi pyaari