रोमांटिक शायरी – 2020, Romantic Shayari Hindi English

ROMANTIC SHAYARI 2020 with lots of romance, love and deep feelings for expressing true love. Shayari that is extremely romantic specially made for Indians. Quotes which are romantic are listed below, feel free to share them on facebook, whatsapp or any social media. 

Romantic Shayari

 

Labo ko chumkar Hontho se Muskura diya tumne

Sach kahu saare soye Arma jaga diya tumne 

Main to Sarobar tha Teri yaado ke Saagar me

Ek bund nashe ka aankho se Pila diya tumne 

 

Wo kahti  hai ki yu dur rah-rah kar kya jalna

Aao milkar khaak ho jaaye 

Na Tum Mujhse Alag ho Na Main Tumse Juda

Aao Ishq me  Jalkar Raakh ho Jaaye

 

Tum Chand ho meri Jindagi ka 

Main Suraj Sa Savera Hu

Tum Raho dilli Mumbai ya phir kalkata

Tum Meri ho aur main sirf tera hu

 

 

In Ankho ko Khwaab Dikhaya Apne 

Soti Hui raato ko Jagaya Apne 

Main to Muddassar jiye jar aha tha 

Jindag ko Jindagi Banaya Aapne

 

Chera Surkh Gulabi Badan,Haatho me Silk ka roomal hai

Lagta hai koi unse hokar gujra hai,ye usi ka kamaal hai 

 

 

Katl karna hi tha ankho se to bata diya hota

Main to Tera hi Aashiq tha jO dena tha Saza diya hota

Kyu Tu khafa hai mujhse ,main To Tera hi Aksh hu

Ji main aata to Diwaar se Latka diya hota

 

 

Jab bhi Tum Gujarti ho To didaar hota hai 

Jhuki hoti hai nazare Aur Iqraar hota hai

Mujhe nhi maalum duniya ke Usoolo ka Raaj

Sab Kahte hai Aise hi PyaAR HOTA HAI

 

 

Jabse Dekhi hai Teri Surat ye Duniya Achi nhi lagti

Chalta hu jin Raaho par akela wo Sacchi nhi lagti

Mutthi Bhar jami hai pairo me aur sir par Ashma hai

Ajkal mere Sahar ki Sadke bhi mujhe Kacchi nhi lati

 

स्याह तेरी सूरत ,काले जुल्फों का साया है 

मैंने की है मुद्दत ,और चाँद जमी पर आया है 

कैसे छुलू तेरे बदन को मेरी इतनी जुर्रत कहा 

तू चाँद है चाँद तूने बादलो में घर बनाया है 

 

 

यु न पकड़ो सनम कलाई जी मचल जाता है 

कुछ तो करो लिहाज धडकनों का, ये बेवक्त रुक जाता है 

तुम्हरा क्या है ,तुम तो  छु कर निकल जाते हो

जलता है ये बदन और प्यार अधुरा रह जाता है 

 

 

 Mujhe jism ki chahat nhi bus 

Tera pyaar chahiye 

Main chup hu sadiyo se tera ikraar chahiye 

Main to wo hu jo tere ruh me utar jaunga 

Bus tere ha me ha ka intzar chahiye

 

 

 Surkh hai ankhe ,badan par daag hai 

Bistar ki silwato me kuch to raaz hai 

Aisa lagta hai ye unka jawaab hai 

Mera mahboob khuda kadam bada lajawaab hai

 

 

Saawan ka mausam hai baaho me bhar lo tum 

jo tadap hai in baadlo me, wo tadap bhi kar lo tum

isse pehle ki bunde tootkar bikhar jaaye

thoda to ishq ,mohbbt kar lo tum 

 

 

Ishq me ruswai achi nhi hoti 

Mahboob ho saamne to judai achi nhi hoti 

Baato baato me waqt kyo kaatna 

Jo ulajh jaaye  kaanto me wo kaliya kacchi nhi hoti ..

 

 

Kya taarif karu mahboob ki wo to jamane me nirala hai

Bheed me chuna hai use maine wo bada dilwala hai 

Rakhta hai dil pe haath aur pao me chaale 

Yaki se wo bada kismat waala hai

 

 

Na karo in fulo se pyaar ,ye kaanto se jyaada waar karte hai 

Chand ka sapna dikha ,taaro se iqraar karte hai ,

Kahte hai mahboob kisi ek ko 

Aur hajaaro se pyaar karte hai

 

 

 Mana bahut hai tere chahne waale 

Par mujh jaisa bhi yaar nhi hoga 

Jo main ko “hum” tak rakhe aisa wafadaar nhi hoga

Ishq me mitne ka jajba rakhte hai hum

jamane me hum  jaisa koi dildaar nhi hoga

 

 

 

Hume fursat kaha jo kisi aur ko dekhe 

Ye dil bus tera hai kaise kisi aur ko rakhe 

Ankho me tera chehra hai, juban per tera naam 

Tu hi bata kaise kisi aur dekhe

 

 Chalo tum to hateli main bichau

Utaro tum jami par to sajde main sajau

Tumhe tanhaai  naseeb na ho kabhi 

Nam ho teri ankho to baahe main failau

 

 

 Chot lage tujhko to dard mujhe hota hai 

Aksar mohbbt me aisa hi hota hai 

Mile hume gum to koi fikra nhi 

Tu jo ro de to dil ye mera rota hai

 

 

 Tum khwab ho meri jindagi 

Tumhe dur jaana nhi hai 

Main humesha hu  bus tumhara 

Ye mujhe juba se  batana nhi hai 

Dekhta hu tum kb mujhe apna sindur banate ho 

Saahil ko moujo par chalna sikhana nhi h

 

 

 Pankhuri jaise honth hai uske wo chehre pe hijaab rakhta hai 

Mera mahboob meri har chahat ka jawab rakhta hai 

Main kyu hosh me  rahu jb mohbbt mujhse hai aur mujhme me hai 

Wo farebi nhi hai jo badal jaaye ,

Har mulaakat ka waqt yaad rakhta hai

 

 

 Nikalte hai jb kuche se mud mud kar dekhte hai 

Ye husn waale husn ki baarikiya dekhte hai 

Lete hai  aagosh me aur fanaah kar dete hai 

Kuch is tarah tabaahi ki dawa bechte hai

 

 

 Ye ishq nhi hai aasha 

maikade me khaali botal se  jaam pilaata hai 

Bada jahreela hai ye 

lagta hai pehle  hontho se phir seene se lag jaata hai

 

 

 Arju hai ye meri ki ishq na km nikle 

Jb bhi nikle ye dum ,teri baaho me dum nikle 

U marna hume gawara nhi hai 

Mar bhi jaaye hum  to tere kucche se hum nikle…

 

 

 Kamsin hai teri umar to main bhi rangbaaj hu 

Tu na kar saki jo intkhaab wo main khwab hu 

Kyo lagati h tu hontho pe laali, jab tera chehra hi surkh hai

Na kar tu parda ek pardanashi ,main to tera nakaab hu

 

 

Main chum lu tere hontho ko , tu bata teri raja kya hai 

Rahu dur ya lipat jau  tujhse bata meri sajja kya hai 

Kyo tadpati hai tu mujhe khwabo me aakar 

Tu hi bata meri khata kya hai

 

Leave a Comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.